Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahanat ne nai duniya ki botiqa murattab ki

Shahid Makuli

zahanat ne nai duniya ki botiqa murattab ki

Shahid Makuli

MORE BYShahid Makuli

    zahānat ne na.ī duniyā botīqā murattab

    kahānī hāshiye par chukī shā.ir ke mansab

    tirī ye gol duniyā to kuaañ hai maut yā-rab

    maiñ chakrāyā tavāzun meñ to paa.ī daad kartab

    na jaane aañkh ne kyā dekh kar tausī.a use hai

    vagarna ḳhvāb muddat to puurī ho chukī kab

    sabā ḳhushbū ko āñdhī gard ko aage baḌhātī hai

    yahāñ sab fikr phailāte haiñ apne apne maktab

    hamārī kahkashāñ ke vast meñ tārīk rauzan hai

    isī meñ mahv hotī rahī hai raushnī sab

    maiñ un se surma.ī sub.hoñ tamsīleñ nichoḌūñgā

    lagī haiñ haath kuchh parchhā.iyāñ bhīgī huī shab

    falak se kaam ke manzar kashīd ik roz kar lūñgā

    zamīñ se aḳhz kar lūñgā fazā.eñ apne matlab

    mileñgī do tamannā.eñ to hāsil kuchh nayā hogā

    ki ajzā se alag hotī hai ḳhāsiyyat murakkab

    hamārā zauq-e-naqqāshī nahīñ hai aaj pyāre

    zabāñ tashkīl ke ġhāroñ meñ thī ye lahr hai tab

    kahīñ zarre ko apnī mauj meñ uḌtā huā dekho

    to shāyad tum samajh paao hayāt āzād-mashrab

    nahīñ ma.alūm kis shamsī fazā ke paas se guzrā

    chamak baḌhne lagī imkān ke dum-dār kaukab

    siyāhī phail kar dil se jabīñ tak aan pahuñchī hai

    badal haiñ musalsal sar-kashī ne sūrateñ sab

    guzar jūñhī farāmoshī ke dariyā se huā merā

    vahīñ apnī surāhī āb-e-nisyāñ se labālab

    zahanat ne nai duniya ki botiqa murattab ki

    kahani hashiye par ja chuki shair ke mansab ki

    teri ye gol duniya to kuan hai maut ka ya-rab

    main chakraya tawazun mein to pai dad kartab ki

    na jaane aankh ne kya dekh kar tausia use di hai

    wagarna KHwab ki muddat to puri ho chuki kab ki

    saba KHushbu ko aandhi gard ko aage baDhati hai

    yahan sab fikr phailate hain apne apne maktab ki

    hamari kahkashan ke wast mein tarik rauzan hai

    isi mein mahw hoti ja rahi hai raushni sab ki

    main un se surmai subhon ki tamsilen nichoDunga

    lagi hain hath kuchh parchhaiyan bhigi hui shab ki

    falak se kaam ke manzar kashid ek roz kar lunga

    zamin se aKHz kar lunga fazaen apne matlab ki

    milengi do tamannaen to hasil kuchh naya hoga

    ki ajza se alag hoti hai KHasiyyat murakkab ki

    hamara zauq-e-naqqashi nahin hai aaj ka pyare

    zaban tashkil ke ghaaron mein thi ye lahr hai tab ki

    kahin zarre ko apni mauj mein uDta hua dekho

    to shayad tum samajh pao hayat aazad-mashrab ki

    nahin malum kis shamsi faza ke pas se guzra

    chamak baDhne lagi imkan ke dum-dar kaukab ki

    siyahi phail kar dil se jabin tak aan pahunchi hai

    badal di hain musalsal sar-kashi ne suraten sab ki

    guzar junhi faramoshi ke dariya se hua mera

    wahin apni surahi aab-e-nisyan se labaalab ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now