Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahe qismat ki qasid yar ka le kar payam aaya

Yasir Rampuri

zahe qismat ki qasid yar ka le kar payam aaya

Yasir Rampuri

MORE BYYasir Rampuri

    zahe qismat ki qāsid yaar le kar payām aaya

    magar afsos-sad-afsos vaqt-e-iḳhtitām aaya

    karāmat dekhiye saaqī mastāna nigāhoñ

    ki jis dam uTh ga.iiñ rindoñ talak ḳhud chal ke jaam aaya

    hasad se haath mal kar rah ga.e saare raqīb us dam

    zabāñ par jab kisī ittifāqan merā naam aaya

    taras aatā hai us bebasī par ḳhud gulistāñ ko

    jo taa.ir fasl-e-gul ke āte-āte zer-e-dām aaya

    karoge yaad jab duniyā se ham ho jā.eñge ruḳhsat

    kahoge tab yahī thā jo har mushkil meñ kaam aaya

    ḳhatā ho kisī ne uñgliyāñ merī samt uTThīñ

    kisī jurm ho sar par mire ittihām aaya

    adhūrā-pan azal se thā likhā shāyad muqaddar meñ

    ki ḳhushiyāñ kyā mire hisse meñ ġham bhī nā-tamām aaya

    burā jab vaqt aaya sab ne 'yāsir' raah apnī

    na koī chārāgar Thahrā na koī yaar kaam aaya

    zahe qismat ki qasid yar ka le kar payam aaya

    magar afsos-sad-afsos waqt-e-iKHtitam aaya

    karamat dekhiye saqi ki mastana nigahon ki

    ki jis dam uTh gain rindon talak KHud chal ke jam aaya

    hasad se hath mal kar rah gae sare raqib us dam

    zaban par jab kisi ki ittifaqan mera nam aaya

    taras aata hai us ki bebasi par KHud gulistan ko

    jo tair fasl-e-gul ke aate-ate zer-e-dam aaya

    karoge yaad jab duniya se hum ho jaenge ruKHsat

    kahoge tab yahi tu tha jo har mushkil mein kaam aaya

    KHata ki ho kisi ne ungliyan meri hi samt uTThin

    kisi ka jurm ho sar par mere hi ittiham aaya

    adhura-pan azal se tha likha shayad muqaddar mein

    ki KHushiyan kya mere hisse mein gham bhi na-tamam aaya

    bura jab waqt aaya sab ne 'yasir' rah li apni

    na koi chaaragar Thahra na koi yar kaam aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now