zahin shaKHs tha usne kamal baaten kin
zahīn shaḳhs thā us ne kamāl bāteñ kiiñ
misāl ban ga.iiñ vo be-misāl bāteñ kiiñ
maiñ kam-nazar thā ishāre samajh na aa.e mujhe
vo be-zabān thā us ne muhāl bāteñ kiiñ
dikhā.īñ pahle tasāvīr ek sahrā kī
phir us kī aañkh ne mujh se ġhazāl bāteñ kiiñ
vo pūchhtā hī rahā mujh se kyoñ kahāñ kab tak
bichhaḌte vaqt musalsal savāl bāteñ kiiñ
thake thake se kisī shaḳhs kī tarah maiñ ne
ḳhud apne aap se kitnī niDhāl bāteñ kiiñ
qarīb ek baje raat us kā phone aayā
sahar kī pahlī kiran tak visāl bāteñ kiiñ
'amal kī raah meñ 'āsim' harīf tez chale
agarche ham ne ziyāda fa'āl bāteñ kiiñ
zahin shaKHs tha us ne kamal baaten kin
misal ban gain wo be-misal baaten kin
main kam-nazar tha ishaare samajh na aae mujhe
wo be-zaban tha us ne muhaal baaten kin
dikhain pahle tasawir ek sahra ki
phir us ki aankh ne mujh se ghazal baaten kin
wo puchhta hi raha mujh se kyon kahan kab tak
bichhaDte waqt musalsal sawal baaten kin
thake thake se kisi shaKHs ki tarah main ne
KHud apne aap se kitni niDhaal baaten kin
qarib ek baje raat us ka phone aaya
sahar ki pahli kiran tak visal baaten kin
'amal ki rah mein 'asim' harif tez chale
agarche hum ne ziyaada fa'al baaten kin
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 66)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.