Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi

Najma Shaheen Khosa

zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    zahmat kabhī kabhī to mashaqqat kabhī kabhī

    lagtī hai zindagī bhī musībat kabhī kabhī

    pahlū meñ jāgtī hai mohabbat kabhī kabhī

    aatī hai haath dard daulat kabhī kabhī

    ab tak tire baġhair maiñ zinda huuñ kis tarah

    hotī hai apne aap pe hairat kabhī kabhī

    ik pal jo visāl thā un māh-o-sāl meñ

    detā hai hijr meñ bhī rifāqat kabhī kabhī

    chheḌe vafā giit koī naġhma-sāz jab

    ḳhud se bhī hone lagtī hai vahshat kabhī kabhī

    ik raat hijr hai musalsal hamāre saath

    tum par guzartī hogī qayāmat kabhī kabhī

    sulgī hai terī yaad meñ ye ruuh raat din

    dene lagī hai lau ye rifāqat kabhī kabhī

    duniyā ke vāste jo bahut be-shu'ūr thā

    us se milī hai 'ishq ko vaq'at kabhī kabhī

    mujh ko tirī jafā to shikva nahīñ magar

    aatī hai yuuñ lab pe shikāyat kabhī kabhī

    maiñ dard se najāt tālib nahīñ magar

    'shāhīn' kam ho thoḌī shiddat kabhī kabhī

    zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi

    lagti hai zindagi bhi musibat kabhi kabhi

    pahlu mein jagti hai mohabbat kabhi kabhi

    aati hai hath dard ki daulat kabhi kabhi

    ab tak tere baghair main zinda hun kis tarah

    hoti hai apne aap pe hairat kabhi kabhi

    ek pal ka jo visal tha un mah-o-sal mein

    deta hai hijr mein bhi rifaqat kabhi kabhi

    chheDe wafa ka git koi naghma-saz jab

    KHud se bhi hone lagti hai wahshat kabhi kabhi

    ek raat hijr ki hai musalsal hamare sath

    tum par guzarti hogi qayamat kabhi kabhi

    sulgi hai teri yaad mein ye ruh raat din

    dene lagi hai lau ye rifaqat kabhi kabhi

    duniya ke waste jo bahut be-shu'ur tha

    us se mili hai 'ishq ko waq'at kabhi kabhi

    mujh ko teri jafa ka to shikwa nahin magar

    aati hai yun hi lab pe shikayat kabhi kabhi

    main dard se najat ki talib nahin magar

    'shahin' kam ho thoDi si shiddat kabhi kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now