Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho

Shamim Karhani

zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    zahr ko mai dil-e-sad-pāra ko miinā na kaho

    daur aisā hai ki piine ko bhī piinā na kaho

    na batāo ki tabassum bhī hai ik zaḳhm naam

    chaak hai kis liye insān siina na kaho

    kam-nigāhoñ hai farmān ki ai dīda-varo

    kis liye tum ko milā dīda-e-bīnā na kaho

    rakh do ilzām kisī mauja-e-māsūm ke sar

    nā-ḳhudāoñ ne Duboyā hai safīna na kaho

    har nafas maut baḳhshī huī mohlat jaise

    koī jiinā hai ye jiinā ise jiinā na kaho

    ye to fankār mehnat sila hai yaaro

    mere māthe ke pasīne ko pasīnā na kaho

    sañg-rezoñ ko kahīñ Thes na lag jaa.e 'shamīm'

    maslahat hai ki nagīne ko nagīna na kaho

    zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho

    daur aisa hai ki pine ko bhi pina na kaho

    na batao ki tabassum bhi hai ek zaKHm ka nam

    chaak hai kis liye insan ka sina na kaho

    kam-nigahon ka hai farman ki ai dida-waro

    kis liye tum ko mila dida-e-bina na kaho

    rakh do ilzam kisi mauja-e-masum ke sar

    na-KHudaon ne Duboya hai safina na kaho

    har nafas maut ki baKHshi hui mohlat jaise

    koi jina hai ye jina ise jina na kaho

    ye to fankar ki mehnat ka sila hai yaro

    mere mathe ke pasine ko pasina na kaho

    sang-rezon ko kahin Thes na lag jae 'shamim'

    maslahat hai ki nagine ko nagina na kaho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now