Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai

Abul Khair Nashtar

zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai

Abul Khair Nashtar

MORE BYAbul Khair Nashtar

    zahr piitā hai shab-o-roz duā detā hai

    paikar-e-ḳhāk jannat patā detā hai

    gosha-e-zehn meñ jaltā hai ra.ūnat charāġh

    dil bastī meñ vahī aag lagā detā hai

    sāzisheñ jab bhī ḳhayāloñ meñ jagah paatī haiñ

    aadmī TuuT ke miltā hai daġhā detā hai

    kar ke ehsān mirī zaat pe hañsne vaalo

    chehra insān auqāt batā detā hai

    jin azmat pe farishtoñ ne qadam chuum liyā

    haq-navā.ī sila un ko ḳhudā detā hai

    mere ehsās ke gulshan meñ bikharne ḳhayāl

    jab bhī aatā hai mirī niiñd uḌā detā hai

    ghar dahlīz pe vo raat ga.e pichhle pahar

    jaane kis haal meñ 'nashtar' ko sadā detā hai

    zahr pita hai shab-o-roz dua deta hai

    paikar-e-KHak hi jannat ka pata deta hai

    gosha-e-zehn mein jalta hai raunat ka charagh

    dil ki basti mein wahi aag laga deta hai

    sazishen jab bhi KHayalon mein jagah pati hain

    aadmi TuT ke milta hai dagha deta hai

    kar ke ehsan meri zat pe hansne walo

    chehra insan ki auqat bata deta hai

    jin ki azmat pe farishton ne qadam chum liya

    haq-nawai ka sila un ko KHuda deta hai

    mere ehsas ke gulshan mein bikharne ka KHayal

    jab bhi aata hai meri nind uDa deta hai

    ghar ki dahliz pe wo raat gae pichhle pahar

    jaane kis haal mein 'nashtar' ko sada deta hai

    Source:

    Lafz Lafz Aaeena (Pg. 38)

    • Author: Abul Khair Nashtar
      • Publisher: Abul Khair Nashtar
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now