Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm-e-dil apna kabhi usko dikha bhi dena

Abdus Sami Siddiqui Naeem

zaKHm-e-dil apna kabhi usko dikha bhi dena

Abdus Sami Siddiqui Naeem

MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem

    zaḳhm-e-dil apnā kabhī us ko dikhā bhī denā

    us sun lenā kabhī us ko sunā bhī denā

    āzmāne ke liye apnī mohabbat bharam

    ik diyā dil meñ jalānā bhī bujhā bhī denā

    āñsūoñ aur sharāboñ kahānī kab tak

    mirī ġhazloñ ko koī rang nayā bhī denā

    maiñ huuñ manzil talabgār magar rāh-numā

    mujh ko do chaar qadam rāh-e-vafā bhī denā

    tire ehsān na hargiz maiñ kabhī bhūlūñgā

    bhuul jā.ūñ to mujhe yaad dilā bhī denā

    vo 'na'īm' aaj na mānegā magar tum kabhī

    us se milnā bhī use ḳhud se milā bhī denā

    zaKHm-e-dil apna kabhi us ko dikha bhi dena

    us ki sun lena kabhi us ko suna bhi dena

    aazmane ke liye apni mohabbat ka bharam

    ek diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena

    aansuon aur sharabon ki kahani kab tak

    meri ghazlon ko koi rang naya bhi dena

    main hun manzil ka talabgar magar rah-numa

    mujh ko do chaar qadam rah-e-wafa bhi dena

    tere ehsan na hargiz main kabhi bhulunga

    bhul jaun to mujhe yaad dila bhi dena

    wo 'na'im' aaj na manega magar tum hi kabhi

    us se milna bhi use KHud se mila bhi dena

    Source:

    Taaruf (Pg. 60)

    • Author: Abdus Sami Siddiqui Naeem
      • Publisher: Abdus Sami Siddiqui Naeem
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now