Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm ka marham dard ka apne darman bech ke aae hain

Nawaz Deobandi

zaKHm ka marham dard ka apne darman bech ke aae hain

Nawaz Deobandi

MORE BYNawaz Deobandi

    zaḳhm marham dard apne darmāñ bech ke aa.e haiñ

    ham lamhoñ saudā kar ke sadiyāñ bech ke aa.e haiñ

    bikne par jab aa ga.e the ūñche mol to bikte ham

    ham ko hamāre rahbar lekin arzāñ bech ke aa.e haiñ

    meñh kyuuñ barse ḳhushk zamīñ par kaise ho maqbūl-e-duā

    jab ḳhud bārish māñgne vaale nadiyāñ bech ke aa.e haiñ

    bhuuk ye shiddat bhī āḳhir kyā se kyā kar detī hai

    majbūran kal bachchoñ ham guḌiyāñ bech ke aa.e haiñ

    zaKHm ka marham dard ka apne darman bech ke aae hain

    hum lamhon ka sauda kar ke sadiyan bech ke aae hain

    bikne par jab aa hi gae the unche mol to bikte hum

    hum ko hamare rahbar lekin arzan bech ke aae hain

    meinh kyun barse KHushk zamin par kaise ho maqbul-e-dua

    jab KHud barish mangne wale nadiyan bech ke aae hain

    bhuk ki ye shiddat bhi aaKHir kya se kya kar deti hai

    majburan kal bachchon ki hum guDiyan bech ke aae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now