Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta

Mohsin Bhopali

zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta

Mohsin Bhopali

MORE BYMohsin Bhopali

    zaḳhm-ḳhurda to usī thā sipar kyā letā

    apnī taḳhlīq se maiñ dād-e-hunar kyā letā

    vo kisī aur tasalsul meñ rahā mahv-e-kalām

    merī bātoñ bhalā dil pe asar kyā letā

    us ko fursat na thī nāz-e-masīhā.ī se

    apne bīmār vo ḳhair-ḳhabar kyā letā

    ek āvāz pe maqsūm thā chalte rahnā

    be-ta.ayyun thā safar raḳht-e-safar kyā letā

    sāz-e-lab guñg the be-nūr thī qindīl-e-nazar

    aise māhaul meñ ilzām-e-hunar kyā letā

    be-niyāzāna rahā apnī ravish par 'mohsin'

    shab-parastoñ se bhalā fāl-e-sahar kyā letā

    zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta

    apni taKHliq se main dad-e-hunar kya leta

    wo kisi aur tasalsul mein raha mahw-e-kalam

    meri baaton ka bhala dil pe asar kya leta

    us ko fursat hi na thi naz-e-masihai se

    apne bimar ki wo KHair-KHabar kya leta

    ek aawaz pe maqsum tha chalte rahna

    be-tayyun tha safar raKHt-e-safar kya leta

    saz-e-lab gung the be-nur thi qindil-e-nazar

    aise mahaul mein ilzam-e-hunar kya leta

    be-niyazana raha apni rawish par 'mohsin'

    shab-paraston se bhala fal-e-sahar kya leta

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now