zaKHm raazi rahe nashtar ki pazirai ko
zaḳhm raazī rahe nashtar kī pazīrā.ī ko
aap aa.e hī nahīñ kār-e-masīhā.ī ko
fahm-e-hastī na kahīñ vahm-o-gumāñ ho jaa.e
ruḳh se parda jo uThā deñ vo shanāsā.ī ko
hosh-mandī kā taqāzā hai to phir yuuñ kiije
aap āñkhoñ se churā lījiye bīnā.ī ko
tujh pe tuf hai ki tujhe husn kā 'irfān nahīñ
tū ne āvāra samajh rakkhā hai lailā.ī ko
sozan-o-ḳhār se vābasta hai har resha-e-dil
'ishq ik surḳh qabā māñge hai zebā.ī ko
dāman-e-ḳhār se lipTī haiñ hazāroñ kaliyāñ
kuchh tahaffuz bhī yahāñ chāhiye rā'nā.ī ko
silvaToñ se mire bistar kī 'ayāñ ho jaatī
TūTne dete agar ḳhvāb meñ añgḌā.ī ko
saath khelī thī kabhī āñkh-micholī ham ne
aaj bhī DhūñD rahe haiñ usī añgnā.ī ko
apnī sūrat meñ chhupā rakkhī hai 'maḳhfī' sūrat
aa.ina qaid kiye baiThā hai harjā.ī ko
zaKHm raazi rahe nashtar ki pazirai ko
aap aae hi nahin kar-e-masihai ko
fahm-e-hasti na kahin wahm-o-guman ho jae
ruKH se parda jo uTha den wo shanasai ko
hosh-mandi ka taqaza hai to phir yun kije
aap aankhon se chura lijiye binai ko
tujh pe tuf hai ki tujhe husn ka 'irfan nahin
tu ne aawara samajh rakkha hai lailai ko
sozan-o-KHar se wabasta hai har resha-e-dil
'ishq ek surKH qaba mange hai zebai ko
daman-e-KHar se lipTi hain hazaron kaliyan
kuchh tahaffuz bhi yahan chahiye ra'nai ko
silwaTon se mere bistar ki 'ayan ho jati
TuTne dete agar KHwab mein angDai ko
sath kheli thi kabhi aankh-micholi hum ne
aaj bhi DhunD rahe hain usi angnai ko
apni surat mein chhupa rakkhi hai 'maKHfi' surat
aaina qaid kiye baiTha hai harjai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.