Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm tumne jo diye uski dawa kaun kare

Ayyub Qasim Karjikar

zaKHm tumne jo diye uski dawa kaun kare

Ayyub Qasim Karjikar

MORE BYAyyub Qasim Karjikar

    zaḳhm tum ne jo diye us davā kaun kare

    raas tanhā.ī ke aane duā kaun kare

    apnī ġhalatī na ehsās kabhī ho jis ko

    aise nādān se takrār bhalā kaun kare

    haiñ jo gumrāh raqīboñ kisī sāzish meñ

    un dil-soz tabāhī patā kaun kare

    ḳhuun ke saath tijārat jo kare gurdoñ

    ab yaqīñ aise masīhā bhalā kaun kare

    ghar basāte jo māñ-bāp ko kahte haiñ ġhalat

    aisī aulād se ummīd-e-vafā kaun kare

    qatl-o-ḳhūñ jhuuT daġhā aam ho jis bastī meñ

    baat haq vahāñ kahne ḳhatā kaun kare

    vaqt ab dekh ke 'ayyūb' baġhāvat kar lo

    zulm zālim shab-o-roz sahā kaun kare

    zaKHm tum ne jo diye us ki dawa kaun kare

    ras tanhai ke aane ki dua kaun kare

    apni ghalati ka na ehsas kabhi ho jis ko

    aise nadan se takrar bhala kaun kare

    hain jo gumrah raqibon ki kisi sazish mein

    un ki dil-soz tabahi ka pata kaun kare

    KHun ke sath tijarat jo kare gurdon ki

    ab yaqin aise masiha ka bhala kaun kare

    ghar basate hi jo man-bap ko kahte hain ghalat

    aisi aulad se ummid-e-wafa kaun kare

    qatl-o-KHun jhuT dagha aam ho jis basti mein

    baat haq ki wahan kahne ki KHata kaun kare

    waqt ab dekh ke 'ayyub' baghawat kar lo

    zulm zalim ka shab-o-roz saha kaun kare

    Source:

    Gham Sanwar Gaye (Pg. 125)

    • Author: Ayyub Qasim Karjikar
      • Publisher: Shahid Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now