zalil-o-KHwar hoti ja rahi hai
zalīl-o-ḳhvār hotī jā rahī hai
ġhazal aḳhbār hotī jā rahī hai
simaTtā jā rahā hai ghar kā āñgan
anā dīvār hotī jā rahī hai
koī bādal koī sūrat koī dil
nazar bīmār hotī jā rahī hai
tabassum zer-e-lab hai ik kahānī
hayā kirdār hotī jā rahī hai
hamāre saat ye būḌhī sadī bhī
garebāñ-tār hotī jā rahī hai
zalil-o-KHwar hoti ja rahi hai
ghazal aKHbar hoti ja rahi hai
simaTta ja raha hai ghar ka aangan
ana diwar hoti ja rahi hai
koi baadal koi surat koi dil
nazar bimar hoti ja rahi hai
tabassum zer-e-lab hai ek kahani
haya kirdar hoti ja rahi hai
hamare sat ye buDhi sadi bhi
gareban-tar hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.