aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun

Arshad Kamal

zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun

Arshad Kamal

MORE BYArshad Kamal

    zamāna kuchh bhī kahe terī aarzū kar luuñ

    shab-e-siyāh meñ sūraj justujū kar luuñ

    mire ḳhudā mujhe taufīq sar-kashī diide

    ḳhizāñ hai sāmne kuchh zikr-e-rañg-o-bū kar luuñ

    agar ho mujh ko mayassar kahīñ se koī kiran

    to shab-darīda hai jo kuchh use rafū kar luuñ

    jo aañkh khol duuñ sun kar zamīr dastak

    ḳhud ko apnī nazar meñ maiñ surḳh-rū kar luuñ

    huā hai kitne dinoñ ba.ad rābta qaa.em

    ab apne aap se 'rāshid' maiñ guftugū kar luuñ

    zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun

    shab-e-siyah mein suraj ki justuju kar lun

    mere KHuda mujhe taufiq sar-kashi dide

    KHizan hai samne kuchh zikr-e-rang-o-bu kar lun

    agar ho mujh ko mayassar kahin se koi kiran

    to shab-darida hai jo kuchh use rafu kar lun

    jo aankh khol dun sun kar zamir ki dastak

    tu KHud ko apni nazar mein main surKH-ru kar lun

    hua hai kitne dinon baad rabta qaem

    ab apne aap se 'rashid' main guftugu kar lun

    RECITATIONS

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun Arshad Kamal

    Arshad Kamal

    zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun Arshad Kamal

    Source:

    Dhoop ke Paudey (Pg. 69)

    • Author: Arshad Kamal
      • Edition: 2008
      • Publisher: Arshad Kamal
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now