Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai

Ahmad Merathi

zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai

Ahmad Merathi

MORE BYAhmad Merathi

    zamāna mubtalā kyā kyā qayās-ārā.iyoñ meñ hai

    karam un bhī kuchh shāmil mirī rusvā.iyoñ meñ hai

    na jaane kitnī yādeñ dil ko bahlātī haiñ aa aa kar

    nashāt-e-zindagī hāsil mujhe tanhā.iyoñ meñ hai

    girāñ-ḳhvābī ke aalam meñ guzregā har ik lamha

    taġhayyur taġhayyur vaqt añgḌā.iyoñ meñ hai

    hai pinhāñ kis qadar nudrat taḳhayyul bulandī meñ

    garāñ-māya dafīna fikr gahrā.iyoñ meñ hai

    suḳhan-parvar jo ho koī mile dād-e-suḳhan 'ahmad'

    hamārī kāmrānī hausla-afzāiyoñ meñ hai

    zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai

    karam un ka bhi kuchh shamil meri ruswaiyon mein hai

    na jaane kitni yaaden dil ko bahlati hain aa aa kar

    nashat-e-zindagi hasil mujhe tanhaiyon mein hai

    giran-KHwabi ke aalam hi mein guzrega har ek lamha

    taghayyur hi taghayyur waqt ki angDaiyon mein hai

    hai pinhan kis qadar nudrat taKHayyul ki bulandi mein

    garan-maya dafina fikr ki gahraiyon mein hai

    suKHan-parwar jo ho koi mile dad-e-suKHan 'ahmad'

    hamari kaamrani hausla-afzaiyon mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now