zamana-saz KHudaon se Dar gae hum tum
zamāna-sāz ḳhudāoñ se Dar ga.e ham tum
qasam ḳhudā kī mohabbat meñ mar ga.e ham tum
jahāñ meñ aa.e the kuchh 'āshiqān-e-ġham ke liye
sadā-e-'ishq lagā kar guzar ga.e ham tum
kabhī the jashn-e-bahārāñ kabhī the raunaq-e-gul
so misl-e-barg-e-ḳhizāñ ab bikhar ga.e ham tum
vabāl-e-gardish-e-daurāñ hameñ batā.e to
kahāñ se aa.e the aur ab kidhar ga.e ham tum
'ḳhadīja' 'ishq-o-mohabbat kī dāstāñ ban kar
koī to kaam zamāne meñ kar ga.e ham tum
zamana-saz KHudaon se Dar gae hum tum
qasam KHuda ki mohabbat mein mar gae hum tum
jahan mein aae the kuchh 'ashiqan-e-gham ke liye
sada-e-'ishq laga kar guzar gae hum tum
kabhi the jashn-e-bahaaran kabhi the raunaq-e-gul
so misl-e-barg-e-KHizan ab bikhar gae hum tum
wabaal-e-gardish-e-dauran hamein batae to
kahan se aae the aur ab kidhar gae hum tum
'KHadija' 'ishq-o-mohabbat ki dastan ban kar
koi to kaam zamane mein kar gae hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.