zamane bhar ki nazron se yun zaKHmi dil chhupata hun
zamāne bhar kī nazroñ se yuuñ zaḳhmī dil chhupātā huuñ
maiñ aksar raat meñ rotā huuñ din meñ muskurātā huuñ
mujhe bhī jītne kā shauq hai terī tarah lekin
jahāñ rishte nibhāne hoñ vahāñ maiñ haar jaatā huuñ
isī andāz ne duniyā se mujh ko joḌ rakkhā hai
mujhe jab dard hotā hai maiñ behad muskurātā huuñ
are zulmat-kade ke pāsbāno ġhaur se sun lo
maiñ apne ḳhūn-e-dil se in charāġhoñ ko jalātā huuñ
'ajab insān ho tum kyā tumheñ ronā nahīñ aatā
chalo dekho mirī jānib tumheñ ro kar dikhātā huuñ
zamane bhar ki nazron se yun zaKHmi dil chhupata hun
main aksar raat mein rota hun din mein muskuraata hun
mujhe bhi jitne ka shauq hai teri tarah lekin
jahan rishte nibhane hon wahan main haar jata hun
isi andaz ne duniya se mujh ko joD rakkha hai
mujhe jab dard hota hai main behad muskuraata hun
are zulmat-kade ke pasbano ghaur se sun lo
main apne KHun-e-dil se in charaghon ko jalata hun
'ajab insan ho tum kya tumhein rona nahin aata
chalo dekho meri jaanib tumhein ro kar dikhata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.