Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai

Shahzad Ahmad

zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    zamīñ apne lahū se āshnā hone vaalī hai

    bahut kuchh ho chukā ab intihā hone vaalī hai

    savā neze pe sūraj aa gayā ab dekhiye kyā ho

    qayāmat ek do pal meñ bapā hone vaalī hai

    mirī āñkhoñ talak sho.ala lahū aan pahuñchā hai

    ye talḳhī ab zabāñ zā.iqa hone vaalī hai

    bahut din jāgte ḳhvāboñ ko āñkhoñ se lagāyā hai

    ye qurbat kuchh dinoñ tak fāsla hone vaalī hai

    vahī gandum daana hai vahī haiñ is pe tāzīreñ

    maiñ Dartā huuñ ki phir mujh se ḳhatā hone vaalī hai

    yahāñ se rāsta koī kisī jānib nahīñ jaatā

    yahīñ se ik safar ibtidā hone vaalī hai

    khule the muddatoñ se be-sabab āñkhoñ ke darvāze

    ye bastī aaj kal meñ be-sadā hone vaalī hai

    mire ghar tak bhī aa pahuñchā hai āḳhir shor galiyoñ

    ye tanhā.ī mire dil se judā hone vaalī hai

    ga.e-guzre dinoñ dhuul ab āñkhoñ se dho Daalo

    koī sūrat kahīñ se rūnumā hone vaalī hai

    sitāre ḳhāk-e-pā-e-ādmiyat banñe vaale haiñ

    ye miTTī ab mire sar ridā hone vaalī hai

    badalne ke liye betāb hai 'shahzād' ye duniyā

    ravā jo chiiz thā ab nā-ravā hone vaalī hai

    zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai

    bahut kuchh ho chuka ab intiha hone hi wali hai

    sawa neze pe suraj aa gaya ab dekhiye kya ho

    qayamat ek do pal mein bapa hone hi wali hai

    meri aankhon talak shoala lahu ka aan pahuncha hai

    ye talKHi ab zaban ka zaiqa hone hi wali hai

    bahut din jagte KHwabon ko aankhon se lagaya hai

    ye qurbat kuchh dinon tak fasla hone hi wali hai

    wahi gandum ka dana hai wahi hain is pe taziren

    main Darta hun ki phir mujh se KHata hone hi wali hai

    yahan se rasta koi kisi jaanib nahin jata

    yahin se ek safar ki ibtida hone hi wali hai

    khule the muddaton se be-sabab aankhon ke darwaze

    ye basti aaj kal mein be-sada hone hi wali hai

    mere ghar tak bhi aa pahuncha hai aaKHir shor galiyon ka

    ye tanhai mere dil se juda hone hi wali hai

    gae-guzre dinon ki dhul ab aankhon se dho Dalo

    koi surat kahin se runuma hone hi wali hai

    sitare KHak-e-pa-e-admiyat banne wale hain

    ye miTTi ab mere sar ki rida hone hi wali hai

    badalne ke liye betab hai 'shahzad' ye duniya

    rawa jo chiz tha ab na-rawa hone hi wali hai

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 882)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now