Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de

Nida Fazli

zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    zamīn hai to thoḌā āsmān bhī de

    mire ḳhudā mire hone kuchh gumān bhī de

    banā ke but mujhe bīnā.ī 'azāb na de

    ye 'azāb hai qismat to phir zabān bhī de

    ye kā.enāt phailāv to bahut kam hai

    jahāñ samā sake tanhā.ī vo makān bhī de

    maiñ apne aap se kab tak kiyā karūñ bāteñ

    mirī zabāñ ko kabhī koī tarjumān bhī de

    falak ko chāñd-sitāre navāzne vaale

    mujhe charāġh jalāne ko sā.ebān bhī de

    zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de

    mere KHuda mere hone ka kuchh guman bhi de

    bana ke but mujhe binai ka 'azab na de

    ye hi 'azab hai qismat to phir zaban bhi de

    ye kaenat ka phailaw to bahut kam hai

    jahan sama sake tanhai wo makan bhi de

    main apne aap se kab tak kiya karun baaten

    meri zaban ko kabhi koi tarjuman bhi de

    falak ko chand-sitare nawazne wale

    mujhe charagh jalane ko saeban bhi de

    Source:

    Shahr Mein Gaon (Pg. 452)

    • Author: Nida Fazli
      • Publisher: Meyaar Publications, Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now