Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq

Zia Faruqi

zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

    zamīñ pe maktab-e-ādam ik nisāb hai ishq

    likhī ga.ī jo azal meñ vahī kitāb hai ishq

    hudūd-e-zāt ke andar bhī shor-o-shar us

    hudūd-e-zāt ke bāhar bhī iztirāb hai ishq

    junūñ tah se jo ubhre to gauhar-e-nāyāb

    havas mauj pe aa.e to ik habāb hai ishq

    kisī savāl sūrat hai kā.enāt tamām

    aur is savāl āsān javāb hai ishq

    sameT leñ jo nigāheñ to husn-e-lailā tak

    bikher deñ jo fazā meñ to be-hisāb hai ishq

    varaq varaq pe hai bikhrā mire vajūd rañg

    ye kis ke haath likkhī huī kitāb hai ishq

    fazā-e-lailā-e-shab meñ hai raushnī us

    'ziyā'-e-naḳhvat-e-shīrīñ āftāb hai ishq

    zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq

    likhi gai jo azal mein wahi kitab hai ishq

    hudud-e-zat ke andar bhi shor-o-shar us ka

    hudud-e-zat ke bahar bhi iztirab hai ishq

    junun ki tah se jo ubhre to gauhar-e-nayab

    hawas ki mauj pe aae to ek habab hai ishq

    kisi sawal ki surat hai kaenat tamam

    aur is sawal ka aasan sa jawab hai ishq

    sameT len jo nigahen to husn-e-laila tak

    bikher den jo faza mein to be-hisab hai ishq

    waraq waraq pe hai bikhra mere wajud ka rang

    ye kis ke hath ki likkhi hui kitab hai ishq

    faza-e-laila-e-shab mein hai raushni us ki

    'ziya'-e-naKHwat-e-shirin ka aaftab hai ishq

    Source:

    Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 38)

    • Author: Zia Farooqui
      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now