Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin se ugti hai ya aasman se aati hai

Ahmad Mushtaq

zamin se ugti hai ya aasman se aati hai

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    zamīñ se ugtī hai āsmāñ se aatī hai

    ye be-irāda udāsī kahāñ se aatī hai

    ise na.e dar-o-dīvār bhī na rok sake

    vo ik sadā jo purāne makāñ se aatī hai

    badan boss nasīm-e-libās bū-e-nafas

    koī mahak ho usī ḳhāk-dāñ se aatī hai

    diloñ barf pighaltī nahīñ hai jis ke baġhair

    vo aañch ek ġham-e-be-nishāñ se aatī hai

    suḳhan-varī hai nazar se nazar nāz-o-niyāz

    aruuz se na zabān-o-bayāñ se aatī hai

    zamin se ugti hai ya aasman se aati hai

    ye be-irada udasi kahan se aati hai

    ise nae dar-o-diwar bhi na rok sake

    wo ek sada jo purane makan se aati hai

    badan ki boss nasim-e-libas bu-e-nafas

    koi mahak ho usi KHak-dan se aati hai

    dilon ki barf pighalti nahin hai jis ke baghair

    wo aanch ek gham-e-be-nishan se aati hai

    suKHan-wari hai nazar se nazar ka naz-o-niyaz

    aruz se na zaban-o-bayan se aati hai

    Source:

    Auraaq-e-Khezani (Pg. 87)

    • Author: Ahmad Mushtaq
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rekhta Foundation
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now