Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

Shams Ramzi

zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

Shams Ramzi

MORE BYShams Ramzi

    zamīn tañg hai yārab ki āsmān hai tañg

    ye kyā ki bandoñ pe paiham terā jahān hai tañg

    mire savāl koī javāb kyā detā

    ki tere shahr meñ har shaḳhs zabān hai tañg

    karūñ to kaise karūñ harf-e-mudda.ā āġhāz

    ġhazal ke vāste lafzoñ āsmān hai tañg

    fazā meñ uḌte parinde ḳhair ho yārab

    ki us tiir baḌā hai magar kamān hai tañg

    nizām nau meñ na.e tajrabāt kaise kareñ

    dil-o-dimāġh har shaḳhs ke uḌaan hai tañg

    mire ḳhudā use āzād kar ye achchhā hai

    hisār-e-jism meñ har vaqt merī jaan hai tañg

    agarche ḳhud vo bahut tañg-zehn-o-dil hai magar

    amīr-e-shahr ko duniyā har makān hai tañg

    parinde chīḳh rahe haiñ ye kis hijrat par

    ye kis ke vāste yārab terā jahān hai tañg

    sukūñ-navāz haiñ TuuTī haveliyāñ lekin

    ye aur baat ki shīshe bhī makān hai tañg

    kise sunā.ūñ maiñ apnī shikast qissa

    vo lafz aur vo lahja vo dāstān hai tañg

    zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

    ye kya ki bandon pe paiham tera jahan hai tang

    mere sawal ka koi jawab kya deta

    ki tere shahr mein har shaKHs ki zaban hai tang

    karun to kaise karun harf-e-muddaa aaghaz

    ghazal ke waste lafzon ka aasman hai tang

    faza mein uDte parinde ki KHair ho yarab

    ki us ka tir baDa hai magar kaman hai tang

    nizam nau mein nae tajrabaat kaise karen

    dil-o-dimagh ki har shaKHs ke uDan hai tang

    mere KHuda use aazad kar ye achchha hai

    hisar-e-jism mein har waqt meri jaan hai tang

    agarche KHud wo bahut tang-zehn-o-dil hai magar

    amir-e-shahr ko duniya ka har makan hai tang

    parinde chiKH rahe hain ye kis ki hijrat par

    ye kis ke waste yarab tera jahan hai tang

    sukun-nawaz hain TuTi haweliyan lekin

    ye aur baat ki shishe ka bhi makan hai tang

    kise sunaun main apni shikast ka qissa

    wo lafz aur wo lahja wo dastan hai tang

    Source:

    Gubar-e-shams (Pg. 70)

    • Author: Shams Ramzi
      • Edition: 1997
      • Publisher: Urdu Tahzeeb, Delhi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now