Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin

Shehzad Anjum Burhani

zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    zamīn thī nahīñ āsmān thā nahīñ

    jahāñ pe ham the koī darmiyān thā nahīñ

    suḳhan to varna diloñ ko bhī chiir detā hai

    tire bayān meñ zor-e-bayān thā nahīñ

    hasīn log uḌā le ga.e ḳhazāna-e-dil

    ye ghar khulā thā koī pāsbān thā nahīñ

    use bhī rog na.e mausamoñ lag gayā hai

    havā ke ruḳh pe hamārā bhī dhyān thā nahīñ

    ye kaun kashtī mirī sāhiloñ pe le aaya

    havā thī tez bahut bādbān thā nahīñ

    nasab jazb-e-tafāḳhur thā Dher miTTī

    pata chalā ki mirā ḳhāndān thā nahīñ

    zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin

    jahan pe hum the koi darmiyan tha hi nahin

    suKHan to warna dilon ko bhi chir deta hai

    tere bayan mein zor-e-bayan tha hi nahin

    hasin log uDa le gae KHazana-e-dil

    ye ghar khula tha koi pasban tha hi nahin

    use bhi rog nae mausamon ka lag gaya hai

    hawa ke ruKH pe hamara bhi dhyan tha hi nahin

    ye kaun kashti meri sahilon pe le aaya

    hawa thi tez bahut baadban tha hi nahin

    nasab ka jazb-e-tafaKHur tha Dher miTTi ka

    pata chala ki mera KHandan tha hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now