zan-e-hasin thi aur phul chun ke lati thi
zan-e-hasīn thī aur phuul chun ke laatī thī
maiñ she'r kahtā thā vo dāstāñ sunātī thī
ye phuul dekh rahe ho ye us kā lahja thā
ye jhiil dekh rahe ho yahāñ vo aatī thī
munāfiqoñ ko mirā naam zahr lagtā thā
vo jān-būjh ke ġhussa unheñ dilātī thī
'arab lahū thā ragoñ meñ badan sunahrā thā
vo muskurātī nahīñ thī diye jalātī thī
use kisī se mohabbat thī aur vo maiñ nahīñ thā
ye baat mujh se ziyāda use rulātī thī
maiñ us ke baa'd kabhī Thiik se nahīñ jaagā
vo mujh ko ḳhvāb nahīñ niiñd se jagātī thī
'alī' ye log tumheñ jānte nahīñ haiñ abhī
gale lagā ke mirā hausla baḌhātī thī
'alī' se duur raho log us se kahte the
vo merā sach hai bahut chīḳh kar batātī thī
maiñ kuchh batā nahīñ saktā vo merā kyā thī 'alī'
ki us ko dekh ke bas apnī yaad aatī thī
zan-e-hasin thi aur phul chun ke lati thi
main she'r kahta tha wo dastan sunati thi
ye phul dekh rahe ho ye us ka lahja tha
ye jhil dekh rahe ho yahan wo aati thi
munafiqon ko mera nam zahr lagta tha
wo jaan-bujh ke ghussa unhen dilati thi
'arab lahu tha ragon mein badan sunahra tha
wo muskuraati nahin thi diye jalati thi
use kisi se mohabbat thi aur wo main nahin tha
ye baat mujh se ziyaada use rulati thi
main us ke ba'd kabhi Thik se nahin jaga
wo mujh ko KHwab nahin nind se jagati thi
'ali' ye log tumhein jaante nahin hain abhi
gale laga ke mera hausla baDhati thi
'ali' se dur raho log us se kahte the
wo mera sach hai bahut chiKH kar batati thi
main kuchh bata nahin sakta wo mera kya thi 'ali'
ki us ko dekh ke bas apni yaad aati thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.