aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara sa shar tha agar KHair se nikal jata

Hamida Shaheen

zara sa shar tha agar KHair se nikal jata

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    zarā shar thā agar ḳhair se nikal jaatā

    ta.alluqāt mafhūm badal jaatā

    koī sunahrī kiran roz ham banā lete

    ye barf hotā huā shahr kuchh pighal jaatā

    kisī shajar pe mohabbat se haath rakh dete

    to ghoñsloñ pe musallat azaab Tal jaatā

    tane se Tek lagā.e manāte shām-e-vafā

    to raat raat meñ saarā daraḳht phal jaatā

    maiñ sabz bel ke mānind phailtī har

    safed ūñche sutūnoñ pe merā bal jaatā

    tire nafīs amāme ke pech yuuñ khulte

    musāfiroñ ke liye sā.ebāñ meñ Dhal jaatā

    kapās chuntī huī aurteñ sukhī hotīñ

    jahāñ jahāñ ye zamīñ hai kisāñ hal jaatā

    gharoñ meñ phailtī jaatī mohabbatoñ mahak

    muġhā.irat dhuāñ ḳhud-ba-ḳhud nikal jaatā

    ham ek dūsre baat rakh liyā karte

    ye rakh-rakhāv sabhī fāsle nigal jaatā

    zara sa shar tha agar KHair se nikal jata

    talluqat ka mafhum hi badal jata

    koi sunahri kiran roz hum bana lete

    ye barf hota hua shahr kuchh pighal jata

    kisi shajar pe mohabbat se hath rakh dete

    to ghonslon pe musallat azab Tal jata

    tane se Tek lagae manate sham-e-wafa

    to raat raat mein sara daraKHt phal jata

    main sabz bel ke manind phailti har su

    safed unche sutunon pe mera bal jata

    tere nafis amame ke pech yun khulte

    musafiron ke liye saeban mein Dhal jata

    kapas chunti hui aurten sukhi hotin

    jahan jahan ye zamin hai kisan ka hal jata

    gharon mein phailti jati mohabbaton ki mahak

    mughairat ka dhuan KHud-ba-KHud nikal jata

    hum ek dusre ki baat rakh liya karte

    ye rakh-rakhaw sabhi fasle nigal jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now