Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara si baat pe aankhen bhigone lagte the

Zaheen Lakhnawi

zara si baat pe aankhen bhigone lagte the

Zaheen Lakhnawi

MORE BYZaheen Lakhnawi

    zarā baat pe āñkheñ bhigone lagte the

    hamāre jaise ḳhushī meñ bhī rone lagte the

    udāsī ġhair āñkhoñ meñ jab bhī dikhtī thī

    use bhī apnī āñkhoñ meñ Dhone lagte the

    ajiib qurb thā tujh se ki vaqt-e-ruḳhsat meñ

    udaas ghar ke sabhī log hone lagte the

    hameñ pata nahīñ thī haqīqat-e-ta.abīr

    saverā hote ham ḳhvāb bone lagte the

    ġham-e-hayāt meñ vahshat aalam aisā thā

    ki chīḳhte hue se ghar ke kone lagte the

    bas apne jaise karte the ratjage varna

    the aise log bhī jo ro ke sone lagte the

    tirī nadī ravānī meñ thī kashish aisī

    ham apnī kashtiyāñ ḳhud Dubone lagte the

    zara si baat pe aankhen bhigone lagte the

    hamare jaise KHushi mein bhi rone lagte the

    udasi ghair ki aankhon mein jab bhi dikhti thi

    use bhi apni hi aankhon mein Dhone lagte the

    ajib qurb tha tujh se ki waqt-e-ruKHsat mein

    udas ghar ke sabhi log hone lagte the

    hamein pata hi nahin thi haqiqat-e-tabir

    sawera hote hi hum KHwab bone lagte the

    gham-e-hayat mein wahshat ka aalam aisa tha

    ki chiKHte hue se ghar ke kone lagte the

    bas apne jaise hi karte the ratjage warna

    the aise log bhi jo ro ke sone lagte the

    teri nadi ki rawani mein thi kashish aisi

    hum apni kashtiyan KHud hi Dubone lagte the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now