zara si baat pe aksar akela chhoD jati hai
zarā sī baat pe aksar akelā chhoḌ jaatī hai
hañsī hoñToñ pe merā zaḳhm gahrā chhoḌ jaatī hai
agar ho faisla qudrat kā to majbūr hotī hai
vagarna kaun maañ bachchoñ ko tanhā chhoḌ jaatī hai
kabhī va.ade kabhī yādeñ kabhī aañsū kabhī aaheñ
tū jab jaatī hai mere paas kyā kyā chhoḌ jaatī hai
maiñ apne ghar se niklā huuñ duā.eñ maañ tirī le kar
jo mushkil sāmne aatī hai rasta chhoḌ jaatī hai
yahāñ par kaun kis kā ham-safar rahtā hai āḳhir tak
jo kashtī paar lagtī hai to dariyā chhoḌ jaatī hai
bāhar us kī mohabbat kī daraḳht-e-dil kī shāḳhoñ par
'samar' ik ḳhūbsūrat aur mīThā chhoḌ jaatī hai
zara si baat pe aksar akela chhoD jati hai
hansi honTon pe mera zaKHm gahra chhoD jati hai
agar ho faisla qudrat ka to majbur hoti hai
wagarna kaun man bachchon ko tanha chhoD jati hai
kabhi wade kabhi yaaden kabhi aansu kabhi aahen
tu jab jati hai mere pas kya kya chhoD jati hai
main apne ghar se nikla hun duaen man teri le kar
jo mushkil samne aati hai rasta chhoD jati hai
yahan par kaun kis ka ham-safar rahta hai aaKHir tak
jo kashti par lagti hai to dariya chhoD jati hai
bahar us ki mohabbat ki daraKHt-e-dil ki shaKHon par
'samar' ek KHubsurat aur miTha chhoD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.