Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai

Mohaamad Nasim Nawaz

zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai

Mohaamad Nasim Nawaz

MORE BYMohaamad Nasim Nawaz

    zarā bad-gumānī dil meñ nafrat Daal detī hai

    virāsat bhā.ī-bhā.ī meñ adāvat Daal detī hai

    mohabbat nazar se dekhtā huuñ maañ jānib jab

    mire hisse meñ vo qadmoñ jannat Daal detī hai

    koī nāz-o-adā se jiit letā hai kisī dil

    kisī sādgī dil meñ mohabbat Daal detī hai

    sunā hai maiñ ne niiñd aatī nahīñ gar peT ḳhālī ho

    ġharībī aisā nusḳha hai ye aadat Daal detī hai

    sila apnī vafā yuuñ hukūmat ham ko detī hai

    kahīñ bhī hādisa ho ham pe tohmat Daal detī hai

    vafā dars gar ho sīkhnā sīkho 'navāz' us se

    fanā ho kar hathelī meñ jo rangat Daal detī hai

    zara si bad-gumani dil mein nafrat Dal deti hai

    wirasat bhai-bhai mein adawat Dal deti hai

    mohabbat ki nazar se dekhta hun man ki jaanib jab

    mere hisse mein wo qadmon ki jannat Dal deti hai

    koi naz-o-ada se jit leta hai kisi ka dil

    kisi ki sadgi dil mein mohabbat Dal deti hai

    suna hai main ne nind aati nahin gar peT KHali ho

    gharibi aisa nusKHa hai ye aadat Dal deti hai

    sila apni wafa ka yun hukumat hum ko deti hai

    kahin bhi hadisa ho hum pe tohmat Dal deti hai

    wafa ka dars gar ho sikhna sikho 'nawaz' us se

    fana ho kar hatheli mein jo rangat Dal deti hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 358)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now