zara si Thahri hai raat mujh mein zara sa suraj nikal raha hai
zara si Thahri hai raat mujh mein zara sa suraj nikal raha hai
Alka Sharar
MORE BYAlka Sharar
zarā sī Thahrī hai raat mujh meñ zarā sā sūraj nikal rahā hai
kahīñ to mujh meñ dabī hai ulfat tabhī mirā dil badal rahā hai
charāġh-bātī ke jaise the ham lage haiñ mīloñ kī dūriyāñ ab
milī na mujh ko bhī koī taskīñ udhar vo pahlū badal rahā hai
uThā ke kyā dekhte ho in ko hurūf tak maiñ jalā chukī huuñ
usī varaq par hai raakh phailī tirā fasāna jo jal rahā hai
kiyā haiñ zaḳhmoñ ne shor itnā tamām shab karvaToñ meñ biitī
milī savere jo hādsoñ se zarā ye dil phir sañbhal rahā hai
use banāne the chāñd taare to āsmāñ kā kiyā tasavvur
mirā hī āñchal mirā hī chehra kyoñ us ke rangoñ meñ Dhal rahā hai
zara si Thahri hai raat mujh mein zara sa suraj nikal raha hai
kahin to mujh mein dabi hai ulfat tabhi mera dil badal raha hai
charagh-baati ke jaise the hum lage hain milon ki duriyan ab
mili na mujh ko bhi koi taskin udhar wo pahlu badal raha hai
uTha ke kya dekhte ho in ko huruf tak main jala chuki hun
usi waraq par hai rakh phaili tera fasana jo jal raha hai
kiya hain zaKHmon ne shor itna tamam shab karwaTon mein biti
mili sawere jo hadson se zara ye dil phir sanbhal raha hai
use banane the chand tare to aasman ka kiya tasawwur
mera hi aanchal mera hi chehra kyon us ke rangon mein Dhal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.