Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara Thahro meri haalat sanbhal jae to phir jaana

Nadeem Asghar

zara Thahro meri haalat sanbhal jae to phir jaana

Nadeem Asghar

MORE BYNadeem Asghar

    zarā Thahro mirī hālat sañbhal jaa.e to phir jaanā

    dil-e-betāb thoḌā bahal jaa.e to phir jaanā

    abhī to furqatoñ ke sehr se niklā nahīñ huuñ maiñ

    tumhāre vasl jaadū ye chal jaa.e to phir jaanā

    jamī haiñ dhaḌkaneñ to munjamid haiñ merī sāñseñ bhī

    badan meñ zindagī thoḌī machal jaa.e to phir jaanā

    abhī jaao na tum jakḌā huā hai dard ne mujh ko

    tumhāre dard lohā pighal jaa.e to phir jaanā

    tumhāre vasl se jiine ḳhvāhish phir se janmī hai

    ye nannhī tamanna phūl-phal jaa.e to phir jaanā

    zara Thahro meri haalat sanbhal jae to phir jaana

    dil-e-betab thoDa sa bahal jae to phir jaana

    abhi to furqaton ke sehr se nikla nahin hun main

    tumhaare wasl ka jadu ye chal jae to phir jaana

    jami hain dhaDkanen to munjamid hain meri sansen bhi

    badan mein zindagi thoDi machal jae to phir jaana

    abhi jao na tum jakDa hua hai dard ne mujh ko

    tumhaare dard ka loha pighal jae to phir jaana

    tumhaare wasl se jine ki KHwahish phir se janmi hai

    ye nannhi si tamanna phul-phal jae to phir jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now