Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara zara si baat par wo mujhse bad-guman rahe

Ramesh Kanwal

zara zara si baat par wo mujhse bad-guman rahe

Ramesh Kanwal

MORE BYRamesh Kanwal

    zarā zarā baat par vo mujh se bad-gumāñ rahe

    jo raat din the mehrbāñ vo ab na mehrbāñ rahe

    judā.iyoñ lazzatoñ vus.ateñ nahīñ rahīñ

    vo ḳhush-ḳhayāl vasl ban ke mere darmiyāñ rahe

    paheliyāñ bujhāo mat bahāne ab banāo mat

    yahīñ kahīñ nahīñ the tum batāo phir kahāñ rahe

    vo mere saath kab na the gila karūñ jo maiñ bhalā

    zarā zarā baat fuzūl kyuuñ bayāñ rahe

    na jhiil koī shahr meñ talayyā-tāl bhī nahīñ

    ye lashkar-e-parind phir batā.iye kahāñ rahe

    mohabbateñ muravvateñ lihāz ḳhulūs ho

    sabhī haiñ dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dāñ rahe

    masarratoñ dhuup un ke flat meñ hai raat din

    hamāre ġham bastiyoñ meñ karb-e-jāvedāñ rahe

    zarā zarā baat par bichhaḌ gayā jo be-sabab

    anā va zid kashmakash meñ ham yahāñ vahāñ rahe

    ye āsmāñ tīrgī numā.ishoñ raushnī

    'kañval' tumhārī raah meñ hamesha kahkashāñ rahe

    zara zara si baat par wo mujh se bad-guman rahe

    jo raat din the mehrban wo ab na mehrban rahe

    judaiyon ki lazzaton ki wusaten nahin rahin

    wo KHush-KHayal wasl ban ke mere darmiyan rahe

    paheliyan bujhao mat bahane ab banao mat

    yahin kahin nahin the tum batao phir kahan rahe

    wo mere sath kab na the gila karun jo main bhala

    zara zara si baat ka fuzul kyun bayan rahe

    na jhil koi shahr mein talayya-tal bhi nahin

    ye lashkar-e-parind phir bataiye kahan rahe

    mohabbaten murawwaten lihaz ya KHulus ho

    sabhi hain dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dan rahe

    masarraton ki dhup un ke flat mein hai raat din

    hamare gham ki bastiyon mein karb-e-jawedan rahe

    zara zara si baat par bichhaD gaya jo be-sabab

    ana wa zid ki kashmakash mein hum yahan wahan rahe

    ye aasman ki tirgi numaishon ki raushni

    'kanwal' tumhaari rah mein hamesha kahkashan rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now