zara ziddi hun jazbaati hun thoDa sar-phira hun main

zara ziddi hun jazbaati hun thoDa sar-phira hun main
Satish Mukhtalif
MORE BYSatish Mukhtalif
zarā ziddī huuñ jazbātī huuñ thoḌā sar-phirā huuñ maiñ
magar jaisā bhī huuñ pahchān lo banda kharā huuñ maiñ
mire andar agar haiñ ḳhāmiyāñ to ḳhūbiyāñ bhī haiñ
ki tum to maan baiThe ho ki ik dam hī burā huuñ maiñ
tumheñ maiñ rok saktā thā magar rokā nahīñ maiñ ne
aur is ke baa'd aisā ḳhud kī nazroñ se girā huuñ maiñ
ka.ī saare savāloñ ne mujhe uljhā.e rakkhā hai
chale aao chale aao savāloñ meñ ghirā huuñ maiñ
maiñ kitne zabt se baiThā huuñ tum ko kyā ḳhabar jānāñ
merī āñkhoñ meñ ḳhushkī hai par andar se bharā huuñ maiñ
tumhārā muntazir huuñ lauT kar aa jaao mere dost
jahāñ bichhḌe the ham donoñ vahīñ ab bhī khaḌā huuñ maiñ
zara ziddi hun jazbaati hun thoDa sar-phira hun main
magar jaisa bhi hun pahchan lo banda khara hun main
mere andar agar hain KHamiyan to KHubiyan bhi hain
ki tum to man baiThe ho ki ek dam hi bura hun main
tumhein main rok sakta tha magar roka nahin main ne
aur is ke ba'd aisa KHud ki nazron se gira hun main
kai sare sawalon ne mujhe uljhae rakkha hai
chale aao chale aao sawalon mein ghira hun main
main kitne zabt se baiTha hun tum ko kya KHabar jaanan
meri aankhon mein KHushki hai par andar se bhara hun main
tumhaara muntazir hun lauT kar aa jao mere dost
jahan bichhDe the hum donon wahin ab bhi khaDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.