aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi

Abid Karhani

zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi

Abid Karhani

MORE BYAbid Karhani

    zard mausam havāoñ meñ khaḌā huuñ maiñ bhī

    aur is soch meñ gum huuñ ki harā huuñ maiñ bhī

    sun ke har shaḳhs kuchh is tarah guzar jaatā hai

    jaise girte hue pattoñ sadā huuñ maiñ bhī

    merī āvāz-e-shikasta satā.ish na karo

    apnī āvāz lahroñ meñ chhupā huuñ maiñ bhī

    tujh ko taḳhlīq kiyā maiñ ne ki mujh ko ne

    kaun ḳhāliq hai yahī soch rahā huuñ maiñ bhī

    vo jo tūfān-e-ḳhudī le ke baḌā hai 'ābid'

    us ko mālūm nahīñ koh-e-anā huuñ maiñ bhī

    zard mausam ki hawaon mein khaDa hun main bhi

    aur is soch mein gum hun ki hara hun main bhi

    sun ke har shaKHs kuchh is tarah guzar jata hai

    jaise girte hue patton ki sada hun main bhi

    meri aawaz-e-shikasta ki sataish na karo

    apni aawaz ki lahron mein chhupa hun main bhi

    tujh ko taKHliq kiya main ne ki mujh ko tu ne

    kaun KHaliq hai yahi soch raha hun main bhi

    wo jo tufan-e-KHudi le ke baDa hai 'abid'

    us ko malum nahin koh-e-ana hun main bhi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 705)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now