Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zardaron ki waqat kya hai kaun ye gauhar banTega

Saadullah Khan Asar Malkapur

zardaron ki waqat kya hai kaun ye gauhar banTega

Saadullah Khan Asar Malkapur

MORE BYSaadullah Khan Asar Malkapur

    zardāroñ vaq.at kyā hai kaun ye gauhar bāñTegā

    hubb-e-uḳhuvvat mehr-o-mohabbat dil tavangar bāñTegā

    maiñ ne an-dekhe par apnā sab kuchh qurbāñ kar Daalā

    ai barahman kyā kar baiThā kyā patthar bāñTegā

    apne muñh se apne ghar baat kaho nādānī hai

    ek maañ jaayā ho kar kahtā hai ghar bāñTegā

    jhūTh kapaT chhal be-īmānī chanda rishvat luuT khasūT

    jis siyāsat aisī hogī kyā vo leader bāñTegā

    be-mohroñ ke shahr meñ āḳhir kis se ye ummīd kareñ

    is duniyā meñ kaun 'asar' ke dard barābar bāñTegā

    zardaron ki waqat kya hai kaun ye gauhar banTega

    hubb-e-uKHuwwat mehr-o-mohabbat dil ka tawangar banTega

    main ne an-dekhe par apna sab kuchh qurban kar Dala

    tu ai barahman kya kar baiTha tu kya patthar banTega

    apne munh se apne ghar ki baat kaho nadani hai

    ek hi man ka jaya ho kar kahta hai ghar banTega

    jhuTh kapaT chhal be-imani chanda rishwat luT khasuT

    jis ki siyasat aisi hogi kya wo leader banTega

    be-mohron ke shahr mein aaKHir kis se ye ummid karen

    is duniya mein kaun 'asar' ke dard barabar banTega

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 127)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now