Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

Aazim Kohli

zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    zarf hai kis meñ ki vo saarā jahāñ le kar chale

    ham to duniyā se faqat ik dard-e-jāñ le kar chale

    aadmī ko chāhiye taufīq chalne faqat

    kuchh nahīñ to guzre vaqtoñ dhuāñ le kar chale

    jab bahāreñ bevafā nikleñ to kis ummīd par

    intizār-e-gul hasrat bāġhbāñ le kar chale

    kab muqaddar kahāñ kaisā koī manzar bane

    ham hathelī par lakīroñ ke makāñ le kar chale

    rahbarī kuchh salīqa hai na manzil ḳhabar

    kaun jānib ye mīr-e-kārvāñ le kar chale

    dekhte haiñ zindagī ko apne andāz se

    ham jidhar ko chal paḌe ik dāstāñ le kar chale

    zulmateñ tārīk shab duur karne ke liye

    bādaloñ se ham ai 'āzim' bijliyāñ le kar chale

    zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

    hum to duniya se faqat ek dard-e-jaan le kar chale

    aadmi ko chahiye taufiq chalne ki faqat

    kuchh nahin to guzre waqton ka dhuan le kar chale

    jab bahaaren bewafa niklen to kis ummid par

    intizar-e-gul ki hasrat baghban le kar chale

    kab muqaddar ka kahan kaisa koi manzar bane

    hum hatheli par lakiron ke makan le kar chale

    rahbari ka kuchh saliqa hai na manzil ki KHabar

    kaun si jaanib ye mir-e-karwan le kar chale

    dekhte hain zindagi ko apne hi andaz se

    hum jidhar ko chal paDe ek dastan le kar chale

    zulmaten tarik shab ki dur karne ke liye

    baadalon se hum ai 'azim' bijliyan le kar chale

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aazim Kohli

    Aazim Kohli

    Source:

    Aaghaz (Pg. 2)

    • Author: Aazim Gurvinder Singh Kohli
      • Edition: 1998
      • Publisher: Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now