zarre ka ek bund mein paikar ubhaar kar
zarre kā ek buuñd meñ paikar ubhār kar
aa dekhte haiñ bahr meñ sahrā utaar kar
sahrā meñ tishnagī kī taḌap ko banā sabīl
paanī nikāl haath nahīñ paañv maar kar
sun zindagī ke zimn meñ lā-hāsilī kī baat
lamhe ke ham hue nahīñ 'umreñ guzār kar
vā'iz ye diin dharm kī hujjat hai kis liye
achchhā hai jo yahāñ use achchhā shumār kar
pūchhā hai ye ki hai koī tardīd kā sabab
ye to nahīñ kahā ki mirā e'tibār kar
'āsim' nazar kī qaid se bāhar kabhī nikal
husn-e-gumāñ se fasl-e-ḳhizāñ ko bahār kar
zarre ka ek bund mein paikar ubhaar kar
aa dekhte hain bahr mein sahra utar kar
sahra mein tishnagi ki taDap ko bana sabil
pani nikal hath nahin panw mar kar
sun zindagi ke zimn mein la-hasili ki baat
lamhe ke hum hue nahin 'umren guzar kar
wa'iz ye din dharm ki hujjat hai kis liye
achchha hai jo yahan use achchha shumar kar
puchha hai ye ki hai koi tardid ka sabab
ye to nahin kaha ki mera e'tibar kar
'asim' nazar ki qaid se bahar kabhi nikal
husn-e-guman se fasl-e-KHizan ko bahaar kar
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 166)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.