Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaruri hai ki har putli nigahon ko dikhai de

Sagar Huzoor puri

zaruri hai ki har putli nigahon ko dikhai de

Sagar Huzoor puri

MORE BYSagar Huzoor puri

    zarūrī hai ki har putlī nigāhoñ ko dikhā.ī de

    hathelī duā qismat rekhā ko sunā.ī de

    na ashkoñ aqīda hai na aahoñ ibādat hai

    be-vāris dard haiñ mere apnī sarbarāhī de

    abhī tak āḳhirī hichkī hai merī qabr par kandāñ

    kisī zarbat nahīñ chīḳhā mire qātil gavāhī de

    suno Dhalvān se sarke to patthar bhī nahīñ bachtā

    mujhe nazroñ Thokar se na aise alvidā'ī de

    maiñ chāhat ek aise moḌ par laane qaa.il huuñ

    jahāñ par chāhne vaalā ye kahtā hai judā.ī de

    mujhe terī hukūmat koī hikmat nahīñ aatī

    mujhe bas ham-navā.ī de na ra.ī.yat de na shāhī de

    jabīñ ke arq 'sāgar' ye marzī hai jahāñ Tapke

    apnī aañkh ke ashkoñ ko gardan surāhī de

    zaruri hai ki har putli nigahon ko dikhai de

    hatheli ki dua qismat ki rekha ko sunai de

    na ashkon ka aqida hai na aahon ki ibaadat hai

    be-waris dard hain mere tu apni sarbarahi de

    abhi tak aaKHiri hichki hai meri qabr par kandan

    kisi zarbat nahin chiKHa mere qatil gawahi de

    suno Dhalwan se sarke to patthar bhi nahin bachta

    mujhe nazron ki Thokar se na aise alwida'i de

    main chahat ek aise moD par lane ka qail hun

    jahan par chahne wala ye kahta hai judai de

    mujhe teri hukumat ki koi hikmat nahin aati

    mujhe bas ham-nawai de na raiyat de na shahi de

    jabin ke arq ki 'sagar' ye marzi hai jahan Tapke

    tu apni aankh ke ashkon ko gardan ki surahi de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now