Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zauq-e-nazar hudud baDhane mein rah gaya

Al-Haaj Al-Hafiz

zauq-e-nazar hudud baDhane mein rah gaya

Al-Haaj Al-Hafiz

MORE BYAl-Haaj Al-Hafiz

    zauq-e-nazar hudūd baḌhāne meñ rah gayā

    nādān dil havas ke miTāne meñ rah gayā

    kaise baseñgī ahl-e-vafā dil bastiyāñ

    to jahāñ dard uThāne meñ rah gayā

    shoḳhī-e-iltifāt bhī hogī isī se kal

    rabt-e-nihāñ jo aaj baḌhāne meñ rah gayā

    shāyad azal se ishq qismat meñ thā jabhī

    duniyā ke sard-o-garm uThāne meñ rah gayā

    ehsās-e-ishq se vahī mahrūm ho gayā

    dil se kisī yaad bhulāne meñ rah gayā

    kaif-e-fanā se kuchh hai vahī rāz-āshnā

    vo jo charāġh dil bujhāne meñ rah gayā

    jān-e-nashāt aur ḳhizāñ-dīda bhī vahī

    jo shoḳhī-e-bahār uḌāne meñ rah gayā

    vo fitna-hā-e-hashr mirā muntazir kahāñ

    maiñ to kisī ke naaz uThāne meñ rah gayā

    samjhā na zarf-e-dil ko na dekhā tuur ko

    bas apnī dhun se barq girāne meñ rah gayā

    vo bad-gumān-e-ishq rahā bazm-e-nāz meñ

    dar-parda kuchh fareb khāne meñ rah gayā

    'dīvān' mehr-o-māh kisī hai gard-e-rāh

    koī galī ḳhaak uḌāne meñ rah gayā

    zauq-e-nazar hudud baDhane mein rah gaya

    nadan dil hawas ke miTane mein rah gaya

    kaise basengi ahl-e-wafa dil ki bastiyan

    tu to jahan ka dard uThane mein rah gaya

    shoKHi-e-iltifat bhi hogi isi se kal

    rabt-e-nihan jo aaj baDhane mein rah gaya

    shayad azal se ishq ki qismat mein tha jabhi

    duniya ke sard-o-garm uThane mein rah gaya

    ehsas-e-ishq se wahi mahrum ho gaya

    dil se kisi ki yaad bhulane mein rah gaya

    kaif-e-fana se kuchh hai wahi raaz-ashna

    wo jo charagh dil ka bujhane mein rah gaya

    jaan-e-nashat aur KHizan-dida bhi wahi

    jo shoKHi-e-bahaar uDane mein rah gaya

    wo fitna-ha-e-hashr mera muntazir kahan

    main to kisi ke naz uThane mein rah gaya

    samjha na zarf-e-dil ko na dekha hi tur ko

    bas apni dhun se barq girane mein rah gaya

    wo bad-guman-e-ishq raha bazm-e-naz mein

    dar-parda kuchh fareb sa khane mein rah gaya

    'diwan' mehr-o-mah kisi ki hai gard-e-rah

    koi gali ki KHak uDane mein rah gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now