Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka

Shabnam Shakeel

zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    zauq-e-nazar ko izn-e-nazāra na mil sakā

    tanhā kabhī vo anjuman-ārā na mil sakā

    ham par to jald khul gayā sāhil sab bharam

    achchhe rahe vo jin ko kināra na mil sakā

    yak-tarfa rābta nibhānā paḌā hameñ

    un taraf se koī ishāra na mil sakā

    tum bhī qusūr-vār nahīñ qissa muḳhtasar

    merā tumhāre saath sitāra na mil sakā

    shahroñ ḳhaak chhānī khañgāle haiñ dasht o dar

    lekin hameñ surāġh hamārā na mil sakā

    maiñ bhī thī ḳhud-pasand nahīñ is meñ shak koī

    aksar to par mizāj tumhārā na mil sakā

    ai kaash sāthiyoñ se vo apne kabhī kahe

    'shabnam' koī mujh ko dobāra na mil sakā

    zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka

    tanha kabhi wo anjuman-ara na mil saka

    hum par to jald khul gaya sahil ka sab bharam

    achchhe rahe wo jin ko kinara na mil saka

    yak-tarfa rabta hi nibhana paDa hamein

    un ki taraf se koi ishaara na mil saka

    tum bhi qusur-war nahin qissa muKHtasar

    mera tumhaare sath sitara na mil saka

    shahron ki KHak chhani khangale hain dasht o dar

    lekin hamein suragh hamara na mil saka

    main bhi thi KHud-pasand nahin is mein shak koi

    aksar to par mizaj tumhaara na mil saka

    ai kash sathiyon se wo apne kabhi kahe

    'shabnam' sa koi mujh ko dobara na mil saka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now