zer-e-zamin jo mujhko hawas aasman ki hai
zer-e-zamīñ jo mujh ko havas āsmāñ kī hai
shāyad ye musht-e-ḳhāk tire āstāñ kī hai
kartā huuñ jam' be-sar-o-sāmāniyāñ kahīñ
bijlī ko phir talāsh mire āshiyāñ kī hai
tū bhī agar nahīñ na sahī chashm-e-iltifāt
mujh par nigāh-e-lutf ġham-e-jāvedāñ kī hai
ik rāz-e-nā-kashūda huuñ ik harf-e-nā-tamām
takmīl-e-rāz mujh pe mire rāz-dāñ kī hai
gum kar chukā huuñ pā-e-jihat-āshnā ko bhī
lekin na khul sakā ki tamanna kahāñ kī hai
kyā maut ne bhī siikh liye dilbarī ke Dhang
ye tarz-e-be-ruḳhī to us ārām-e-jāñ kī hai
qaa.em vaqār-e-'ishq 'nazar' jis ke dam se thā
ye turbat-e-shikasta usī naujavāñ kī hai
zer-e-zamin jo mujh ko hawas aasman ki hai
shayad ye musht-e-KHak tere aastan ki hai
karta hun jam' be-sar-o-samaniyan kahin
bijli ko phir talash mere aashiyan ki hai
tu bhi agar nahin na sahi chashm-e-iltifat
mujh par nigah-e-lutf gham-e-jawedan ki hai
ek raaz-e-na-kashuda hun ek harf-e-na-tamam
takmil-e-raaz mujh pe mere raaz-dan ki hai
gum kar chuka hun pa-e-jihat-ashna ko bhi
lekin na khul saka ki tamanna kahan ki hai
kya maut ne bhi sikh liye dilbari ke Dhang
ye tarz-e-be-ruKHi to us aaram-e-jaan ki hai
qaem waqar-e-'ishq 'nazar' jis ke dam se tha
ye turbat-e-shikasta usi naujawan ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.