aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka

Gulzar

zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka

Gulzar

MORE BYGulzar

    zikr hotā hai jahāñ bhī mire afsāne

    ek darvāza khultā hai kutub-ḳhāne

    ek sannāTā dabe-pāñv gayā ho jaise

    dil se ik ḳhauf guzrā hai bichhaḌ jaane

    bulbula phir se chalā paanī meñ ġhote khāne

    na samajhne use vaqt na samjhāne

    maiñ ne alfāz to bījoñ tarah chhāñT diye

    aisā mīThā tirā andāz thā farmāne

    kis ko roke koī raste meñ kahāñ baat kare

    na to aane ḳhabar hai na patā jaane

    zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka

    ek darwaza sa khulta hai kutub-KHane ka

    ek sannaTa dabe-panw gaya ho jaise

    dil se ek KHauf sa guzra hai bichhaD jaane ka

    bulbula phir se chala pani mein ghote khane

    na samajhne ka use waqt na samjhane ka

    main ne alfaz to bijon ki tarah chhanT diye

    aisa miTha tera andaz tha farmane ka

    kis ko roke koi raste mein kahan baat kare

    na to aane ki KHabar hai na pata jaane ka

    Source:

    Chand Pukhraj Ka (Pg. 190)

    • Author: Gulzar
      • Edition: 1995
      • Publisher: Roopa And Company
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now