zikr mohabbat ka un tanha raaton ka
zikr mohabbat kā un tanhā rātoñ kā
kyā matlab hai mujh se aisī bātoñ kā
ġhusse meñ vo zulfeñ to bikhrā letā hai
kaam baḌhā detā hai mere hāthoñ kā
us ko duniyā-dārī kā kuchh 'ilm nahīñ
burā na maano dīvāne kī bātoñ kā
chhū kar dekho ḳhat meñ kitnī sīlan hai
zikr kiyā hogā us ne barsātoñ kā
merī yaad meñ ro kar us ne kaaTī haiñ
qarz hai mujh par us kī kitnī rātoñ kā
zikr mohabbat ka un tanha raaton ka
kya matlab hai mujh se aisi baaton ka
ghusse mein wo zulfen to bikhra leta hai
kaam baDha deta hai mere hathon ka
us ko duniya-dari ka kuchh 'ilm nahin
bura na mano diwane ki baaton ka
chhu kar dekho KHat mein kitni silan hai
zikr kiya hoga us ne barsaton ka
meri yaad mein ro kar us ne kaTi hain
qarz hai mujh par us ki kitni raaton ka
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 88)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.