zinda rahen to kya hai jo mar jaen hum to kya
zinda raheñ to kyā hai jo mar jaa.eñ ham to kyā
duniyā se ḳhāmushī se guzar jaa.eñ ham to kyā
hastī hī apnī kyā hai zamāne ke sāmne
ik ḳhvāb haiñ jahāñ meñ bikhar jaa.eñ ham to kyā
ab kaun muntazir hai hamāre liye vahāñ
shaam aa ga.ī hai lauT ke ghar jaa.eñ ham to kyā
dil kī ḳhalish to saath rahegī tamām umr
dariyā-e-ġham ke paar utar jaa.eñ ham to kyā
zinda rahen to kya hai jo mar jaen hum to kya
duniya se KHamushi se guzar jaen hum to kya
hasti hi apni kya hai zamane ke samne
ek KHwab hain jahan mein bikhar jaen hum to kya
ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya
dil ki KHalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gham ke par utar jaen hum to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.