Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin

Shakeel Gwaliari

zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin

Shakeel Gwaliari

MORE BYShakeel Gwaliari

    zinda vo apne saath ke bīmār bhī nahīñ

    marte raho ki ab koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ

    aksar ḳhayāl-e-zulf se TuuTā sukūt-e-shab

    zanjīr ab nahīñ hai to jhankār bhī nahīñ

    hamsā.egī pe us bahut naaz hai hameñ

    dīvār se lagī huī dīvār bhī nahīñ

    dāman chaak chāk-e-garebāñ se mile

    ab āshiqī ye koī meyār bhī nahīñ

    āñkhoñ meñ aa gayā hai lahū ho ke apnā dil

    us taraf se vāda-e-dīdār bhī nahīñ

    us ke kahe se de mujhe dozaḳh ai ḳhudā

    a.amāl se to aisā gunahgār bhī nahīñ

    zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin

    marte raho ki ab koi gham-KHwar bhi nahin

    aksar KHayal-e-zulf se TuTa sukut-e-shab

    zanjir ab nahin hai to jhankar bhi nahin

    hamsaegi pe us ki bahut naz hai hamein

    diwar se lagi hui diwar bhi nahin

    daman ka chaak chaak-e-gareban se ja mile

    ab aashiqi ka ye koi meyar bhi nahin

    aankhon mein aa gaya hai lahu ho ke apna dil

    us ki taraf se wada-e-didar bhi nahin

    us ke kahe se de mujhe dozaKH hi ai KHuda

    aamal se to aisa gunahgar bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now