Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagani ka koi bab samajh lo laDki

Tripurari

zindagani ka koi bab samajh lo laDki

Tripurari

MORE BYTripurari

    zindagānī koī baab samajh lo laḌkī

    bhuul jaao mujhe ḳhvāb samajh lo laḌkī

    ishq karne hai ḳhvāhish ye maiñ samjhā lekin

    tum mire jism ke ādāb samajh lo laḌkī

    vasl raat vo maiñ ne jise ta.amīr kiyā

    hasrat-e-ishq mehrāb samajh lo laḌkī

    tum ne barsāt ke mausam meñ jise dekhā thā

    vo hai sūkhā huā tālāb samajh lo laḌkī

    ishq insān meñ aurat ko jagā detā hai

    log ho jaate haiñ shādāb samajh lo laḌkī

    merī banjar huī āñkhoñ pe yaqīñ mat karnā

    ye bhī saktī haiñ sailāb samajh lo laḌkī

    aaj kal tum jo ye mahsūs kiyā kartī ho

    tajraba hai koī nāyāb samajh lo laḌkī

    ye jo dīvān mire naam se chhap kar aayā

    tum ise zehn ḳhūnāb samajh lo laḌkī

    zindagani ka koi bab samajh lo laDki

    bhul hi jao mujhe KHwab samajh lo laDki

    ishq karne ki hai KHwahish ye main samjha lekin

    tum mere jism ke aadab samajh lo laDki

    wasl ki raat wo main ne jise tamir kiya

    hasrat-e-ishq ki mehrab samajh lo laDki

    tum ne barsat ke mausam mein jise dekha tha

    wo hai sukha hua talab samajh lo laDki

    ishq insan mein aurat ko jaga deta hai

    log ho jate hain shadab samajh lo laDki

    meri banjar hui aankhon pe yaqin mat karna

    ye bhi la sakti hain sailab samajh lo laDki

    aaj kal tum jo ye mahsus kiya karti ho

    tajraba hai koi nayab samajh lo laDki

    ye jo diwan mere nam se chhap kar aaya

    tum ise zehn ka KHunab samajh lo laDki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now