Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi apni yahan apne liye tazir hai

Wajahat Ali Sandailvi

zindagi apni yahan apne liye tazir hai

Wajahat Ali Sandailvi

MORE BYWajahat Ali Sandailvi

    zindagī apnī yahāñ apne liye ta.azīr hai

    shauq dil meñ raqs aur paañv meñ zanjīr hai

    tesha-e-jamhūriyat hai ahl-e-zar ke haath meñ

    jū-e-ḳhūñ ko vo batāte haiñ ki jū-e-shīr hai

    gardish-e-ayyām ko ab gardish-e-insāñ kaheñ

    karte rahnā hijrateñ insān taqdīr hai

    jaan kitne sitāroñ ne isī ummīd par

    sub.h ke hone meñ āḳhir kis liye tāḳhīr hai

    jagmagāte qasr ke nīche añdhere jhoñpaḌe

    ye hazāroñ saal tahzīb tasvīr hai

    ḳhūñ-bahā merā mire qātil ko miltā hai yahāñ

    ban ga.ī insāf mīzān bhī shamshīr hai

    hoñ khaḌe sone īñToñ par rasā.ī ke liye

    haath se ūñchī bahut ab adl zanjīr hai

    ban chukīñ tārīkiyāñ apnā muqaddar is tarah

    ek jugnū chamak bhī ḳhvāb ta.abīr hai

    apnā haq apnī zabāñ par bhī nahīñ baaqī rahā

    ḳhvāb-e-āzādī apne kyā yahī ta.abīr hai

    chauñk paḌtā huuñ maiñ har aahaT pe kaise ḳhauf se

    aa rahā qātil mirā rahā rah-gīr hai

    bhuuk bīmārī jahālat meñ muqayyad aadmī

    zindagī kyā hai koī bigḌī huī tasvīr hai

    aadmī hai paikar-e-mehr-o-vafā amn-o-amāñ

    har galī-kūche meñ lekin chal rahī shamshīr hai

    jābir-o-āmir badal paa.e zamāna kab yahāñ

    aam insānoñ se bantī vaqt taqdīr hai

    zindagi apni yahan apne liye tazir hai

    shauq dil mein raqs ka aur panw mein zanjir hai

    tesha-e-jamhuriyat hai ahl-e-zar ke hath mein

    ju-e-KHun ko wo batate hain ki ju-e-shir hai

    gardish-e-ayyam ko ab gardish-e-insan kahen

    karte rahna hijraten insan ki taqdir hai

    jaan di kitne sitaron ne isi ummid par

    subh ke hone mein aaKHir kis liye taKHir hai

    jagmagate qasr ke niche andhere jhonpaDe

    ye hazaron sal ki tahzib ki taswir hai

    KHun-baha mera mere qatil ko milta hai yahan

    ban gai insaf ki mizan bhi shamshir hai

    hon khaDe sone ki inTon par rasai ke liye

    hath se unchi bahut ab adl ki zanjir hai

    ban chukin tarikiyan apna muqaddar is tarah

    ek jugnu ki chamak bhi KHwab ki tabir hai

    apna haq apni zaban par bhi nahin baqi raha

    KHwab-e-azadi ki apne kya yahi tabir hai

    chaunk paDta hun main har aahaT pe kaise KHauf se

    aa raha qatil mera ya ja raha rah-gir hai

    bhuk bimari jahaalat mein muqayyad aadmi

    zindagi kya hai koi bigDi hui taswir hai

    aadmi hai paikar-e-mehr-o-wafa amn-o-aman

    har gali-kuche mein lekin chal rahi shamshir hai

    jabir-o-amir badal pae zamana kab yahan

    aam insanon se banti waqt ki taqdir hai

    Source:

    Roshni (Pg. 17)

    • Author: Wajahat Ali Sandailvi
      • Publisher: Wajahat Ali Sandailvi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now