Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi-baKHsh samar shaKH mein kam aate hain

Niyaz Sultanpuri

zindagi-baKHsh samar shaKH mein kam aate hain

Niyaz Sultanpuri

MORE BYNiyaz Sultanpuri

    zindagī-baḳhsh samar shāḳh meñ kam aate haiñ

    ab ke mausam meñ jo aate haiñ to ġham aate haiñ

    dīn-o-īmāñ se ġharaz hai na rivāyāt paas

    tel khoj meñ europe ke sanam aate haiñ

    dil vahshat na ga.ī zaḳhm Tāñkā na khulā

    us mahfil se bhī bā-dīda-e-nam aate haiñ

    bā-ḳhabar ai chaman-e-hind ke ḳhush-rang tuyūr

    dāna-o-dām liye ahl-e-karam aate haiñ

    shab-gazīdoñ se koī ke kaho mat ghabrā.eñ

    parcham-e-sub.h uThā.e hue ham aate haiñ

    kis gharāne se ta.alluq hai ham ahl-e-dil

    ḳhair-maqdam ke liye dair-o-haram aate haiñ

    jab se bāzār meñ bikne lage fankār 'niyāz'

    mujh se arbāb-e-qalam shahr meñ kam aate haiñ

    zindagi-baKHsh samar shaKH mein kam aate hain

    ab ke mausam mein jo aate hain to gham aate hain

    din-o-iman se gharaz hai na riwayat ka pas

    tel ki khoj mein europe ke sanam aate hain

    dil ki wahshat na gai zaKHm ka Tanka na khula

    us ki mahfil se bhi ba-dida-e-nam aate hain

    ba-KHabar ai chaman-e-hind ke KHush-rang tuyur

    dana-o-dam liye ahl-e-karam aate hain

    shab-gazidon se koi ja ke kaho mat ghabraen

    parcham-e-subh uThae hue hum aate hain

    kis gharane se talluq hai hum ahl-e-dil ka

    KHair-maqdam ke liye dair-o-haram aate hain

    jab se bazar mein bikne lage fankar 'niyaz'

    mujh se arbab-e-qalam shahr mein kam aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now