zindagi chaal chal gai shayad
zindagī chaal chal ga.ī shāyad
maut phir aa ke Tal ga.ī shāyad
khā rahā huuñ abhī fareb-e-vafā
aarzū phir bahal ga.ī shāyad
phir na uTThī girī jo ḳhirman par
barq bhī saath jal ga.ī shāyad
joshish-e-‘ishq kyā kiyā tū ne
baat un kī nikal ga.ī shāyad
hans rahā huuñ firāq-e-dā.im par
ġham kī sūrat badal ga.ī shāyad
un ke ruḳh se nazar nahīñ haTtī
naujavānī machal ga.ī shāyad
tez itnī na thī sharāb-e-husn
dil ke sāñche meñ Dhal ga.ī shāyad
phir uThā sail-e-iztirāb 'nazar'
phir tabī'at sañbhal ga.ī shāyad
zindagi chaal chal gai shayad
maut phir aa ke Tal gai shayad
kha raha hun abhi fareb-e-wafa
aarzu phir bahal gai shayad
phir na uTThi giri jo KHirman par
barq bhi sath jal gai shayad
joshish-e-‘ishq kya kiya tu ne
baat un ki nikal gai shayad
hans raha hun firaq-e-daim par
gham ki surat badal gai shayad
un ke ruKH se nazar nahin haTti
naujawani machal gai shayad
tez itni na thi sharab-e-husn
dil ke sanche mein Dhal gai shayad
phir uTha sail-e-iztirab 'nazar'
phir tabi'at sanbhal gai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.