Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson

Wakil Akhtar

zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson

Wakil Akhtar

MORE BYWakil Akhtar

    zindagī dast-e-tah-e-sañg rahī hai barsoñ

    ye zamīñ ham pe bahut tañg rahī hai barsoñ

    tum ko paane ke liye tum ko bhulāne ke liye

    dil meñ aur aql meñ ik jañg rahī hai barsoñ

    apne hoñToñ dahaktī huī surḳhī bhar do

    dāstāñ ishq be-rañg rahī hai barsoñ

    dil ne ik chashm-e-zadan meñ kiyā hai vo kaam

    jis pe duniyā-e-ḳhirad dañg rahī hai barsoñ

    kis ko ma.alūm nahīñ vaqt ke dil dhaḌkan

    merī hamrāz-o-ham-āhañg rahī hai barsoñ

    saaf tārīḳh ye kahtī hai ki mansūrī se

    muzmahil satvat-e-aurañg rahī hai barsoñ

    merī ābla-pā.ī badaulat 'aḳhtar'

    rah-guzar un shafaq-rañg rahī hai barsoñ

    zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson

    ye zamin hum pe bahut tang rahi hai barson

    tum ko pane ke liye tum ko bhulane ke liye

    dil mein aur aql mein ek jang rahi hai barson

    apne honTon ki dahakti hui surKHi bhar do

    dastan ishq ki be-rang rahi hai barson

    dil ne ek chashm-e-zadan mein hi kiya hai wo kaam

    jis pe duniya-e-KHirad dang rahi hai barson

    kis ko malum nahin waqt ke dil ki dhaDkan

    meri hamraaz-o-ham-ahang rahi hai barson

    saf tariKH ye kahti hai ki mansuri se

    muzmahil satwat-e-aurang rahi hai barson

    meri hi aabla-pai ki badaulat 'aKHtar'

    rah-guzar un ki shafaq-rang rahi hai barson

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 534)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now