Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ghamgin hoti ja rahi hai

Hasan Nizami

zindagi ghamgin hoti ja rahi hai

Hasan Nizami

MORE BYHasan Nizami

    zindagī ġhamgīn hotī rahī hai

    aarzū rañgīn hotī rahī hai

    chāñd taare āsmānoñ meñ Tañge haiñ

    raat taz.īn hotī rahī hai

    zulm phir parvān chaḌhtā rahā hai

    zabt tauhīn hotī rahī hai

    samt-e-mashriq dekhtā huuñ maiñ ujālā

    raat takfīn hotī rahī hai

    shādmāñ hai 'nizāmī' āj-kal vo

    ruuh taskīn hotī rahī hai

    zindagi ghamgin hoti ja rahi hai

    aarzu rangin hoti ja rahi hai

    chand tare aasmanon mein Tange hain

    raat ki tazin hoti ja rahi hai

    zulm phir parwan chaDhta ja raha hai

    zabt ki tauhin hoti ja rahi hai

    samt-e-mashriq dekhta hun main ujala

    raat ki takfin hoti ja rahi hai

    shadman sa hai 'nizami' aaj-kal wo

    ruh ki taskin hoti ja rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now