Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ek habab hai jaise

Shaz Sharqi

zindagi ek habab hai jaise

Shaz Sharqi

MORE BYShaz Sharqi

    zindagī ik habāb hai jaise

    ik suhānā ḳhvāb hai jaise

    us ke va.ade e.atibār abas

    vo sarāsar sarāb hai jaise

    husn ye shaguftagī vallāh

    ek taaza gulāb hai jaise

    dil-e-āshiq meñ jhāñk kar dekho

    koī ḳhāna-ḳharāb hai jaise

    piiTh pīchhe kisī bad-goī

    aaj kār-e-savāb hai jaise

    muskurānā vo zer-e-lab un

    merā yaum-e-hisāb hai jaise

    apnā maazī vo bhuul baiThā hai

    ḳhāndānī navāb hai jaise

    sinf-e-nāzuk uf ye uryānī

    zehn-o-dil azaab hai jaise

    baab is ke haiñ muḳhtalif ai 'shāz'

    ziist merī kitāb hai jaise

    zindagi ek habab hai jaise

    ek suhana sa KHwab hai jaise

    us ke wade ka eatibar abas

    wo sarasar sarab hai jaise

    husn ki ye shaguftagi wallah

    ek taza gulab hai jaise

    dil-e-ashiq mein jhank kar dekho

    koi KHana-KHarab hai jaise

    piTh pichhe kisi ki bad-goi

    aaj kar-e-sawab hai jaise

    muskurana wo zer-e-lab un ka

    mera yaum-e-hisab hai jaise

    apna mazi wo bhul baiTha hai

    KHandani nawab hai jaise

    sinf-e-nazuk ki uf ye uryani

    zehn-o-dil ka azab hai jaise

    bab is ke hain muKHtalif ai 'shaz'

    zist meri kitab hai jaise

    Source:

    Yadon Ke Charagh (Pg. 86)

    • Author: Shaz Sharqi
      • Publisher: Naved Shabbir Qazi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now